Google Drive Kiya Hain | Google Drive par video ,photo,file upload kaise kare |
Hello Dosto To Kaise ho App log , Asha karta ho app sabhi Ache Hoge | To Doasto Aaj Fir Se Me Apke Liye Ek Our Naye Artical ko Le Kar Aaya ,To Dosto Aaj ke is artical Me Apko Batoga Ki Kaise Hum Google Drive Ka Upyog karke Kisi Bhi Parkar Ke Photo , Video ,Files Ko Upload Kar Sakte Hain |
![]() |
Techblash |
To Dosto Aap Me Se Kahin Log Eshe Hote hain Jinhe Jaruri CHije Save karne ke Liye Mobile our pen Drive Me Storage Diya jata hain | Thik Ushi Tarha se Google Drive Main Apna Sabhi Data Hum Online Daal sakte hain | goyogle Drive Apko Mobile ya Pen Drive se Jayda Security deta hain | Kiyuki mobile our Pen Drive Kharab Hone Par Data Wapas Nhi laya ja Sakta hain | Lekin Jab Aap Ushi Data ko Google Drive par Upload Karte Ho ,To Apka Data Hamesa Online Security Me Hota Hain |
Read more:-
Aap Log Google Drive Photo , Picture , Movies Videos ,Document ,ID , Appliction, jese sabhi Parkar ke Data Ko Upload Kar Sakte Ho | TO aaj ke is atrical me Apko Inhi Topic main Bataoga our sabhi Ek Baad Ek Agar Aap log bhi Apne Photo etc. sabhi Parkar kE Data saat Google Drive Mein Upload Kar sakte Ho |
- What is Google Drive |
- Mobile Se Google Drive Par Video ,Files Our Photo kaise Dale |
- Google Drive par file kaise Share kare |
- Computer se Google Drive par files kaise Upload kare |
- How To Download Google Drive |
To Aaj Main Apko Inhi Sabhi Topic Ke Bare main Batoga To Bane Rahiye | Chaliye Shuru Karte Hain |
Google Drive kiya hain |
Yha ek software hain jese Google duwara Banaya Gya Hain | Jo Apko Online Files Storage seva pardan karta hai, Iski madad se Aap Application, files, folder, Music, Video, Document rakhne ke sath Hum us data ko kabhi Bhi send tatha Share bhi kar sakte hain| Eske Alawa Aap google Drive ki Madad se aap log Ms office me banaye gye data ko bhi Save Ya share kar sakte ho |
Google Drive ko Download kaise kare |
Aap Log Agar google Drive download karna chate ho, to uske liye apke pass ek Android phone kisi bhi par kar ka hona jaruri he, Agar Aap ek Android user he to is he play store se download kar sakte ho, Aap ek Apple user he to is he Apple store se download kar sakte ho,
- Aap ko sabse pehle play store ko open kar lena hain |
- Uske baad me search par click karke google Drive type karke ushe open kare |
- Open karne ke baad Apko niche download ka option dikhai de rha hoga download kar ke Install kar le |
Chalo aage badte hain |
Mobile Se Google Drive Par Video ,Files Our Photo kaise Dale |
Agar aap bhi apne phone google Drive ka upyog karke google Drive par photo, video, file aadi dalna chate ho, to me apko step by step batauga |
- Sabse pehle google Drive app ko Open kar Lena hain |
- Uske baad photo ya files ko Upload karne ke liye Apko ( + ) ka Icon dikhai de rha hoga us par click kare |
- Ab apke samne Ek Box open hoga, Jisme apko kuch option dikhai denge | Isme se apko Upload wale Option par click karna hoga |
- Uske baad apko us photo, files, video ya gir document ko select karna hoga, jisko aap log google Drive me save karna chate ho |
- Jo bhi apne select kiya hain, use ok karoge to vh photo, video files upload ho jayegi |
Ab hum apne agle topic par chlte hain|
Google Drive par file kaise Share kare |How to share file on Google Drive.
Agar aap kisi bhi files ko share karna chate ho to is parkar se kar sakte ho step by step batauoga.
- Aap ko sabse pehle us file ko dekna hain he jise apko share karna hain |
- Ab Apko us file ko select kar lena hain, jise aap share karna chate ho ,Apko share ke option par click karna hoga |
- Uske baad apke samne kuch option dikhai dege, jese :- whatsapp, Gmail, xender, face book, isme se jis par apko share karna hain use select kar le |
- Aapko ab apni file ko us par Upload kar dena hain |
Ab apne last topic par chalte hai|
Computer se Google Drive par files kaise Upload kare |How to upload files to Google Drive from computer?
Agar aap ek computer user hain to aapko pata hoga, likn jinhe nhi pata hain, vha bhi computer par google Drive me file ko Upload kar sakte hain, mein apko step by step bataoga. In steps ko follow karke aap bhi files Upload kar paonge.
- Sabse pehle Aapko Apne computer me kai bhi browser ko open kar lena hain | our search kar google Drive our use open kar le |
- Iske baad drive ke home page me diye + New icon par click kare|
- Ab ek box open honga, isme file Upload ka option par click kare|
- Ab apne computer se us files ya photos ko select kare, jise aap google Drive me Upload karna chate ho |
- Iske baad Aapki file drive me Upload hokar save ho jayegi | iske alawa aap apni file ko kabhi bhi download kar sakte ho |
Conclusion :- To doston Asha karta ho ki apko humra Aartical Google Drive Kiya Hain | Google Drive par video ,photo,file upload kaise kare | acha lga hoga, agar aap our kisi our topic par artical chate ho to humhe comment kare |
agar Artical acha laga ho to apne doston ko bhi share kare | me apse fir miluga aaj ke liye bas itna hi milte he ek our naye artical ke sath main |
Apka din shub ho |
0 Comments