Type Here to Get Search Results !

Typing speed ko Kaise badaye? In Hindi

0
Hello doston to kaise ho, aap log asha karta hun, ki aap Sabhi acche Honge| To Aaj Fir main aapke liye ek aur naye artical ke sath aaya hun, to doston aaj ke is Aartical mein Hum Janne wale Hain| Ki kese hum Mobile phone me Typing Speed bada (How to Improve typing speed)sakte hain| Agar aap bhi Typing Speed badna chahte ho to fir yh artical Aap hi ke liye he to Article pura padhe| To chaliye shuru karte Hain|
Techblash



Aaj kal har kisi ke paas Android Mobile dekhne Ko Mil jata hain| Kuch log jaldi typing nhi kar pate hai | To Apne Mobile ke keyboard Typing Speed ko kaise Badal sakte hai , hum log aaj ke samay me sabse jayada upyog karte hai to woh he mobile me typing karne ke liye 0 se tak button hote our * aur # inki Madad se Emojis bheje sakte the par ab chije badal gyi hai aur ab sabke paas Smart phones hote hai our in mobile phone mein jo keyboard diye jate hai unhe hum Qwerty keyboard kehte hai| jaha par Sabhi Alphabets  sequence me nhi hote hai balki sab idhar udhar hote hai, yah keyboard hone ki wajah se bahut logo ko type karne me pareshani Hoti hai.
Qwerty keyboard me agar kai vyakti pehli baar typing Karega to usko badi dikkat hoti hai , lekin agar hum lagatar is keyboard me typing karte hai to hume iski aadat hone lagti hai | ab agar aapne abhi abhi button wale mobile se touch screen mobile liya hai ,to aapko shuru me typing karne me bahut problem hane wali hai , mujhe bhi shuru me diktat aayi thi | likin ab meri typing speed Bahut achi hai, To me Apko bataunga| ki kese mene apne typing speed improve Kiya |Main aapko kuch ESI Tips bataunga .jiski madad se apko Mobile me fast typing karne me madad milegi|

Mobile typing speed badane ke 5 Tarike Hindi mein|

Aap ko sabse pehle samajhna hoga ki mobile main typing speed ko badhane ke liye koi shortcut nahi hota hai aapko tomato lage garba aap ko mobile typing ke kuch bolo tips jaoge aap ko bata dunga code humne raat ko bahut pasand hai main mobile typing is kid but prove kar sakte hain|
1 . Voice typing ka upyog Nahi karna

Aap me Bahut sare log hote hai| Jo voice TYPING SPEED ka upyog karte hai | apko esha nhi Karna hai. "No use of voice typing" waise to voice typing ek bahut kamal ka feature hai|Aapko Bus bolna hai aur wah typing ho jata hai, lekin Aap agar apni mobile typing speed ko Increase karna chahte hai, To Apko kuch Samay ke liye voice typing band Karna hogi| 
Techblash




Aapko kuch bhi type karna hai mobile me to wah Aap keyboard me likh kar type karenge .Isse Apki typing speed me bahut jaldi Aapko privartan dekhne ko Milega our mobile typing speed improvement hone lag jayegi|

2. Keyboard me Bina Dekhe typing Karna

Ab  Aap yh soch rhe ye kaise ho sakta hai ,Ki bina dekhe type karna . Ise Blind typing Kahte hai.Aap typing nahi kar sakte Bina dekhe| magar Aap esa karte hai to hume yh yaad rahne lag jata hai ki kon key kitna difference hai.yh jaruri nahi hai ki aap bina dekhe type kar paoge lekin jab aap bina dekhe thoda bahut bhi sahi type karte hai to yh ek bahut achi baat hai. Kyoki yh hone baad aap dekh kar jab bhi type karne ki koshish jarur kare isse aapko bhaut fayda hai .

3. Daily mobile typing practice kare

Agar aapke paas mobile phone computer ho ya phir koi typewriter university typing speed up the improve nahi hogi jab tak ki aap daily practice nahi kehte hain ,isliye Agar Aap chahte hai ki mobile main typing speed improve ho ,To uske liye aapko  apne mobile me typing karna hoga| aap ke liye sabse accha rahega ki aapko paragraph chune aur usko mobile main kisi Note ped main type kare  esa aapko rojgar na hoga aap ko kahani bhi type kar sakte hai .aur Notepad Apko play store par mil jayega|apni pasand kar koi bhi Notepad install kar sakte hain|

4. Mobile Keyboard ka Sahi Upyog karna

Aap me se Bhaut sare log dhyan nahi dete hai,ki Mobile keyboard upyog kar rhe hai|wah Apko type karne ke liye Aaram deh hai ya nhi jyada tar log wahi keyboard upyog karte hain.jo Mobile default hota hai par Aapko koi accha keyboard Upyog karna chahiye. Aap Go keyboard, Google keyboard, Swift keyboard aur G baard jaise keyboard ka upyog kar sakte hain.yah sab keyboard kuch extra features ke sath aate hai jo aapko mobile typing speed improve  karne me madad karte hain.isliye ab aap koi esa keyboard chune Aapko upyog karne me aasan lagta hai.

5. Keyboard Me Varnmala ka Sthan yaad Karna|

Main aapko eshi Ek aur Tip bataunga jisme apko keyboard me jo Alphabets (Varnmala)  hai unki Position yaad karna hogi .jaisa ki apko pata hoga ki mobile keyboard A-Z tak Total 26 Alphabet hote hai Jo Mobile Qwerty keyboard Me kahi par bhi hota hai. Yaha Apko kisi ne koi word type karne ko bola to aapko ward mein use hone wale alphabets ko dhundhne ki jarurat nahin pade aapko se z Tak Sabhi alphabets ki position yad karna hogi aapko is kam mein jyada Se jyada Ek hafta lag sakta hai per Jab aap Sabhi ki position yad kar lete hain to Fir aapko mobile mein fast typing karne se koi nahin rok sakta hai|
Mobile mein typing karne ke liye yah bahut acche tips Hain. aapko mere duwara bataye hue tips follow karna hai. iske alava aapko kuch aur tips follow karne ki jarurat hai |bus typing karte samay mere bataye hue tips aapko mobile mein fast typing karne mein bahut madad karege. Doston main aapko yahi bolunga ki yah sab Ek Din mein nahin Hoga ismein thoda Samay jarur lagega per aapki mobile mein typing ki speed daily improve hogi aapko mobile typing se related koi bhi problem Hoti hai To mujhe Uske bare mein jarur bataen main aapki madad karunga|

Conclusion:-  ab aapki Bari hai Doston ab aap bhi apni mobile mein typing speed ko bada sakte hain |mere duwara bataye Gaye in tips ko follow karke aap apni typing speed ko aur acche se improve kar sakte ho, to doston aapko Aaj Ka artical kaisa laga asha Karta Hun ,Ki aapko mere duwara bataye Gaye typing speed ko badhane mein madad Mili hogi, Agar aapko artical achcha Laga Ho To Apne doston ko bhi social media per share Karen main aapke liye aise hi naye artical lekar Aata rahunga aaj ke liye Bus itna hi FIR milenge Ek aur naya artical ke sath |

Aapka Din Shub ho|

Post a Comment

0 Comments