computer / laptop me screenshot kese lete hain
Hello doston to kaise ho aap log asha karta hun ki aap Sabhi acche Honge ,To fir se Ek Naya artical ke sath aapke bich aaya hun|
![]() |
techblash |
Aaj ke is artical mein aapko bataunga, ki kaise ham computer/laptop main screen shot Lete hai। To aap Sabhi Jante hi Hain| Ki aaj Ka yug computer ka yog hai hamen Kisi bhi kam ke liye computer Ki avashyakta padati hai|
Jaise:-Shiksha ke shetra mein ,company mein,online Kshetra mein,aadi shetron mein computer ke avashyakta padati hai| iske liye hamen computer ki basic jankari hona chahie basic jankari se aap computer operate kar sakte hain,to doston is artical mein Main computer basic ke topic mein screenshot ke bare mein bataunga,to artical pura padhe chaliye aage badhate hain|
Read More:-
computer - laptop me screenshot lane Ke char tarike hindi me
Computer/laptop Keyboard
Snipping tool
Software
6 types screen shot in window 11
computer/laptop Keyboard shortcut keys se screen shot kese lete hain
Agar aap log computer user hai ,to aapko Pata Hoga Ki screenshot kaise Lete Hain| jo naye Hain unko nahin Pata hota hai,ki screenshot kaise Lete Hain, To Agar aapko Janna chahte ho, to main Jaise step bataunga| theek usi prakar Aap Bhi Apne computer mein Try Karen|
Step 1 :- aapko sabse pahle vah page Khol lena hai |jiska aap screenshot Lena chahte ho|
Step 2 :- ab aapko keyboard ko dekhen| usmein window + prtsc donon button ko ek sath dabaiye|
Step 3:- Uske bad aapko jo Apne computer per dikhai de raha hai| uska screenshot capture kar le|
Step 4 :- screen shot To le Liya hain|lekin use Dekhe kaha par uske liye aapko file manager Khol le|
Step 5 :- iske andar aapko picture ke folder per jakar use Khol le|
Step6 :- picture folder ke andar aapko screenshot ka folder milega|ushi ke andar Jo screenshot liya Vo Image Save hogi|
in step Ko follow Karke screen shot Le Sakte hain।Ab hum snipping tool ki madad se screenshot kaise le sakte hain|Dekhenge,
Snipping tool se screen shot lete hain |
Screen shot lene ke dusre tarike ke bare mein samajhne se pahle aap yah Jaan Le, ki snipping tool Keval window 7,8,8.1,10,11 main hi milta hai|agar aap bhi ine window ko operate karte ho,to iski madad se aap screenshot Le sakte ho| to main aapko snipping tool ke bare mein step by step bataunga| step ko follow karke aap bhi screenshot Le sakte ho|
Step 1:- Sabse pehle Aap jo Bhi Windows ka upyog kar rhe hai|Uske Window Start Button ko Dabaiye|Our Search Bar Me Snipping Tool Search kare|
Step 2 :- Ab Esko Apne Computer me Snipping Tool Khol Jayega|
Step 3:- snipping tool Me Apko Char Option Dekhne ko Milte hai|Aapko pehle Option Mode par Dabana Hoga|Yha se Aap Apne Screenshot ki Saij ko Select kar sakte Ho|Aap Chahe to Mouse ke Right button ko Dabakar Jitna Screenshot Lena Hain|Utna Area Cover kar sakte ho|
Step 4:- area select Karne ke baad Apko Ek Option Save Karne ka Milega|Us Par Click karke Aap Apne Screenshot ko Ek File Me Save kar sakte ho|
Snipping tool se Screenshot Kaise Lete hai,yha To hamne Shikh Liya Ab Ham Ek Software ki madad se kaise Screenshot Le sakte hain,yha me Apko Aage Aapko Bataunga|
Software ki madad se computer me screenshot kese lete hain
Agar hum Software ki Baat karen,To Google par Bahut sare Screenshot Software Apko Available ho jayege, Likhin me jis Software ki Baat kar Rha hu,uski Madad se Aap screenshot ke Sath -sath Video Record Bhi kar sakte Ho,
![]() |
Techblash |
6 types screen shot in window 11 me kese lete hain
Step1 :- Eshe letest OS Vale Laptop our Computer par par screenshot Lene behad aasan hai|
How to Take Screenshots in Windows 11
print screen key ka Estemal karke pure page ka Screenshot le sakte ho,jo Key sabhi Keyboard me Aata hain|Step 2:- Esme Win+ Alt+ Print Screen ke jariye Screenshot lena kafi Aashan hai|
Step 3 :- Esme Alt + Print Screen Key ko Press Karke screen shot Le sakte hai|
Step 4 :- Es software me Snipping Tool ka Estemal karke bhi screenshot liya ja sakta hai|.Microsoft Windows 11 main Screenshot kaise le Hindi mein pehle Start press icon par Jaye। fir Snipping Tool Search Karke select karne|our step ko follow karke screenshot le lijiye|
Step 5 :- Windows+Print Screen Ko press karne ke Baad window11 computer Me Screenshot Lena kaafi Aashan hai|
Step 6:- Esme Screenshot Win+ Shift + S keys ka Estemal karke Liya ja sakta hai|
Conclusion:- To aapko aaj ka yah artical computer screenshot kaise Lete Hain| kaisa laga, Agar aapko achcha Laga Ho, To Apne doston ko bhi WhatsApp Facebook aur social media per share Karen taki unhen bhi computer ki basic jankari ke bare mein pata Lage|
Asha Karta Hun Ki aapko aaj ka ticket achcha Laga Ho main aapke liye ek aur naya artical ke sath mein Dunga aaj ke liye bus itna hi|
Apka Din Shub ho ।
0 Comments